Saturday, 2 July 2005

Aaye Nahin Tum.....................

AAYE NAHIN TUM.............(Hindi translation of Ashilena Tumi.........)Yug beet gaye, rahte tum antarman mein
Aaye nahin tum………..


Palkon ke pichhe, sirf tumhe dekhti hoon
Aaye nahin tum………

Sabhi palon mein, tumhe chahti hoon
Aaye nahin tum…………

Kab aayoge, man se poochhti hoon
Aaye nahin tum………….

Khamosh raton mein, kitni akeli hoon
Aaye nahin tum…………..

Bole the tum, saath leke jaaoge
Aaye nahin tum.

Aayoge ya nahin, aake hi kaha jaate
Aaye nahin tum…………..

No comments:

Post a Comment